waziron ki adakari jo pahle thi sab ab bhi hai

waziron ki adakari jo pahle thi sab ab bhi hai
wahi nas nas mein makkari jo pahle thi so ab bhi hai

wahi masjid wahi mandir wahi nafrat bhare bhashan
wahi talwar do-dhaari jo pahle thi so ab bhi hai

commission par commission kha rahe hain desh ke leader
wo bandar-bant sarkari jo pahle thi so ab bhi hai

gharibi ka wo infection wo antibiotic nare
wo d d t ki pichkari jo pahle thi so ab bhi hai

shifa-khane badal dale badal dala tabibon ko
magar sukhe ki bimari jo pahle thi so ab bhi hai

the pahle karwan khatre mein ab hain rail mein dake
safar karne mein dushwari jo pahle thi so ab bhi hai

hazaron neamaten hain apne dastarkhwan par be-shak
magar aalu ki tarkari jo pahle thi so ab bhi hai

khuda rakkhe wo sadhe sat bachchon ki hain man lekin
adaon mein wo bambari jo pahle thi so ab bhi hai

meri masjid mein iftari pe ab tak roza-daron ki
wahi yalghaar-e-tatari jo pahle thi so ab bhi hai

zamana lakh barte be-rukhi 'masrur' ko dekho
tabiat mein milan-sari jo pahle thi so ab bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close