wo abru yaad aate hain wo mizhgan yaad aate hain

By
wo abru yaad aate hain wo mizhgan yaad aate hain
na puchho kaise kaise tir-o-paikan yaad aate hain

wo jin ke taht jhuk jata tha sar asnam ke aage
wahi bhule hue ahkaam-e-yazdan yaad aate hain

jo aksar bar-war hone se pahle tut jate the
wahi khasta shikasta ahd-o-paiman yaad aate hain

wo marmar ki tarah shaffaf aur hanste hue aaza
hayat-e-jawidan ke saz-o-saman yaad aate hain

guman hota hai wahshi nikhaton ne bhench dala hai
kuchh itne be-mahaba sumbulistan yaad aate hain

wo gul-andaz jin ka khalq sarmaya tha jine ka
wo ban ban kar charagh-e-mahfil-e-jaan yaad aate hain

khayal aata hai jab bhi dilbaron ki ham-nashini ka
talatum rang ke khushbu ke tufan yaad aate hain

udi phirti thi boson ki chatak jin ki fazaon mein
wo ehsasat mein dube shabistan yaad aate hain

faqih-o-shaikh ke zehnon mein but honge khudaon ke
main insan hun mujhe to sirf insan yaad aate hain

piyala sham ko rakhta hun jab bhi main 'adam' aage
jawan ham-joliyon ke ru-e-khandan yaad aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close