wo arz-e-gham pe mashwara-e-iKHtisar de

wo arz-e-gham pe mashwara-e-ikhtisar de
kuze mein kaise koi samundar utar de

duniya ho aakhirat ho wo sab ko sanwar de
taufiq-e-ishq jis ko bhi parwardigar de

phir dawat-e-karam nigah-e-shoala-bar de
allah mustaqil mujhe sabr-o-qarar de

jis phul ka bhi dekhiye daman hai tar tar
kitna bada sabaq hamein fasl bahaar de

dard-e-jigar shikasta-dili be-qarariyan
kya kya na lutf mujh ko tera intizar de

waiz use batao na jannat ke tum maze
khuld-e-barin ka lutf jise ku-e-yar de

kangan udhar kalai mein ghuma to yun laga
aawaz mujh ko gardish-e-lail-o-nahaar de

chehre pe wo sajae hai masumiyat ka nur
ab kaun us ko zahmat-e-bos-o-kanar de

main hun shahid-e-rah-e-mohabbat magar 'alim'
mera ghalat pata meri lauh-e-mazar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close