wo dhyan ki rahon mein jahan hum ko milega

wo dhyan ki rahon mein jahan hum ko milega
bas ek chhalawe sa koi dam ko milega

anjaani zaminon se mujhe dega sada wo
nairang-e-nawa-shauq ki sargam ko milega

main ajnabi ho jaunga khud apni nazar mein
jis dam wo mere dida-e-pur-nam ko milega

jo naqsh ki arzhang-e-zamana mein nahin hai
us dil ke dhadakte hue albam ko milega

rut wasl ki aaegi chali jaegi lekin
kuchh rang to yun hijr ke mausam ko milega

ye dil ki hai thukraya hua sare jahan ka
ghar ek yahi hai jo tere gham ko milega

patthar hai to thokar mein rahe pa-e-talab ki
dil hai to usi turra-e-pur-kham ko milega

gar shisha-e-mai hai to ho auron ko mubarak
hai jam-e-jahan-bin to faqat jam ko milega

lahraate rahenge chamanistan mein sharare
khar o khas o khashak hi aalam ko milega

malum hai 'urfi' jo hai qismat mein hamari
sahra hi koi girya-e-shabnam ko milega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close