wo ek KHwab jo dekha gaya tha ujlat mein

wo ek khwab jo dekha gaya tha ujlat mein
usi ka karb sameta hai aaj fursat mein

ye baat sach hai ki begar to nahin ye hayat
ki hum ko zakhm-e-tamanna mile hain ujrat mein

ziyan yahi hai ki kuchh aur sujhta hi nahin
bas ek dhyan mein rahte hain log shohrat mein

hunar kaho ki karamat magar yahi hai ki hum
khushi ko dhaal bhi sakte hain gham ki surat mein

zamin jiti hai ya sarzamin-e-dil us ne
sawal tishna raha jashn-e-fath-o-nusrat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close