wo ek nigah jo KHamosh si hai barson se

wo ek nigah jo khamosh si hai barson se
ye kaun jaane wo kya kah rahi hai barson se

hamare chehron pe ab apna-pan nahin ugta
ye wo zamin hai jo banjar padi hai barson se

badan ka sara lahu mangta hai wo ek lafz
nigah zehn ki jis par tiki hai barson se

kahan se laun wo taswir jo bani hi nahin
nazar mein gard ude ja rahi hai barson se

meri nigah mein din hai mere badan mein hai raat
meri kitab adhuri padi hai barson se

samundaron mein kabhi baadalon ke khemon mein
ek aag mujh ko liye phir rahi hai barson se

kahan kahan liye phirti hai raat ko 'abid'
wo ek sada jo mujhe dhundhti hai barson se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close