wo hans hans ke wade kiye ja rahe hain

wo hans hans ke wade kiye ja rahe hain
fareb-e-tamanna diye ja rahe hain

tera nam le kar jiye ja rahe hain
gunah-e-mohabbat kiye ja rahe hain

mere zakhm-e-dil ka muqaddar to dekho
nigahon se tanke diye ja rahe hain

na kali ghataen na phulon ka mausam
magar pine wale piye ja rahe hain

teri mahfil-e-naz se uthne wale
nigahon mein tujh ko liye ja rahe hain

mere shauq-e-didar ka haal sun kar
qayamat ke wade kiye ja rahe hain

harim-e-tajalli mein zauq-e-nazar hai
nigahon se sajde kiye ja rahe hain

abhi hai asiri ka aaghaz 'mahir'
abhi to faqat par siye ja rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close