wo hon muTThi mein unki dil ho hum hon

wo hon mutthi mein un ki dil ho hum hon
yunhi parda sa kuchh hail ho hum hon

sataen hum usi tarah jis tarah chahen
koi nashshe mein yun ghafil ho hum hon

tumhaara baam rashk-e-asman ho
agar tum ho mah-e-kaamil ho hum hon

maza khalwat ka aae qatl-gah mein
wahan koi na ho qatil ho hum hon

har ek goshe mein jaise hashr barpa
nae fitne hon wo mahfil ho hum hon

nahin parwa na sabza ho lab-e-ju
ye mina ho lab-e-sahil ho hum hon

hamare hath mein ho tegh qatil
na ho koi adu bismil ho hum hon

girah ho zulf ki dil mein hamare
hamara uqda-e-mushkil ho hum hon

purane najd mein ab hon nae aaj
nai laila naya mahmil ho hum hun

yunhi hum apni hasti se guzar jaen
hamari sai-e-la-hasil ho hum hon

ye kam-bakht ek jahan-e-arzu hai
na ho koi hamara dil ho hum hon

na hum utthen na koi hath uthae
gale par khanjar-e-qatil ho hum hon

ye sahw-o-mahw hon hum sair-e-gul mein
har ek ghuncha hamara dil ho hum hon

'riyaz' us shokh ko bhi tum suna do
wo kya hai chulbula sa dil ho hum hon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close