wo husn-e-sabz jo utra nahin hai Dali par

wo husn-e-sabz jo utra nahin hai dali par
farefta hai kisi phul chunne wali par

main hal chalate hue jis ko socha karta tha
usi ki gandumi rangat hai baali baali par

ye log sair ko nikle hain so bahut khush hain
main dil-e-girafta hun sabze ki paemali par

ek aur rang mila aa ke sat rangon mein
shua-e-mahr padi jab se teri baali par

main khul ke sans bhi leta nahin chaman mein 'raza'
mubaada bar guzarta ho sabz dali par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close