wo jab tak anjuman mein jalwa farmane nahin aate

wo jab tak anjuman mein jalwa farmane nahin aate
surahi raqs mein gardish mein paimane nahin aate

sharik-e-dard ban kar apne begane nahin aate
mai-e-ishrat jo pite hain wo gham khane nahin aate

lipat kar shama ki lau se lagi dil ki bujhate hain
parai aag mein jalne ko parwane nahin aate

udate hi phirenge umr bhar wo khak sahra ki
teri zulfon ke sae mein jo diwane nahin aate

jo apni aan par ai 'naz' apni jaan dete the
zamane mein nazar ab aise diwane nahin aate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close