wo jis ki justuju-e-did mein pathra gain aankhen nazar ke samne ek din sar-e-mahfil bhi aaega ye kya shikwa ki koi chahne wala nahin milta karam par tum jo ho mail koi sail bhi aaega ye tufan-khez maujen ye thapede baad o baran ke safine ko yunhi kahte raho sahil bhi aaega na ho mayus hamdam panw mein laghzish na aa jae nazar kuchh dur chal kar jada-e-manzil bhi aaega mohabbat apne diwanon ko viran rakh nahin sakti kisi ki justuju mein ek din mahmil bhi aaega ye mahfil aaj na-ahlon se jo mamur hai 'wasif' usi mahfil mein koi jauhar-e-qabil bhi aaega