wo jis ne Dhaal diya barf ko sharare mein

wo jis ne dhaal diya barf ko sharare mein
main kab se soch raha hun usi ke bare mein

na jaane nind se kab ghar ke log jagenge
ki ab to dhup chali aai hai osare mein

main jag jag ke shab bhar use talashta hun
likha hua hai mera nam ek sitare mein

khilegi dhup to wadi ka rang nikhrega
abhi to os ki ek dhund hai nazare mein

kabhi dimagh ko khatir mein hum ne laya nahin
hum ahl-e-dil the hamesha rahe khasare mein

'talab' ye soch ke lag jae na zaban mein zang
kisi se baat main karta nahin ishaare mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close