wo jis pe tumhein sham-e-sar-e-rah ka guman hai

wo jis pe tumhein sham-e-sar-e-rah ka guman hai
wo shoala-e-awara hamari hi zaban hai

ab hath hamare hai inan rakhsh-e-junun ki
ab sar pe hamare kulah-e-sang-e-butan hai

bas pher ke munh khar qadam khinch rahe the
dekha to nihan qafila-e-ham-safaran hai

chubhte hi bani khar-sifat pa-e-khizan mein
kya kije bahut hum ko gham-e-lala-rukhan hai

kaam aae bahut log sar-e-maqtal-e-zulmat
ai raushni-e-kucha-e-dil-dar kahan hai

ai fasl-e-junun hum ko pae-shaghl-e-gareban
paiwand hi kafi hai agar jama giran hai

'majruh' kahan se guhar-e-gandum-o-jau laen
apni to girah mein yahi chashm-e-nigaran hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close