wo jitne dur hain utne hi mere pas bhi hain

wo jitne dur hain utne hi mere pas bhi hain
ye aur baat hai khush hain magar udas bhi hain

ye dekhna hai hamein kis ka zauq kaisa hai
yahan sharab bhi hai zahr ke gilas bhi hain

unhi pe tohmat-e-diwangi lagate ho
jo ittifaq se mahfil mein ru-shanas bhi hain

jo raushni ke libaade ko odh kar aae
shab-e-siyah ke wo matami libas bhi hain

tum apne shahr mein amn-o-aman ki baat karo
jahan sukun hai wahan log bad-hawas bhi hain

ghazal ke saz hain faiz-ul-hasan-'khayal' jahan
wahan pe aah ba-lab bhi hain mahw-e-yas bhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close