wo kahte hain yaqin lana paDega

wo kahte hain yaqin lana padega
ye dhoka jaan kar khana padega

zamane ko badalna hum ne thana
zamane ko badal jaana padega

salamat hai hamara jazb-e-ulfat
tum aaoge tumhein aana padega

yahi marzi hai us aaram-e-jaan ki
hamein ab jaan se jaana padega

dil-e-nadan samajh jaega lekin
dil-e-nadan ko samjhana padega

adu ke naz uthte kaun dekhe
teri mahfil mein uth jaana padega

nahin ai sang-e-dil han wo nahin tu
kiye par jis ko pachhtana padega

bada bad-rah hai charkh-e-sitamgar
use ab rah par lana padega

pada hai ai 'wafa' pala buton se
khuda ko darmiyan lana padega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close