wo khush ho ke mujh se khafa ho gaya mujhe kya umiden thin kya ho gaya nawed-e-shafa chaarasazon ko do maraz ab mera la-dawa ho gaya kisi ghair se kya tawaqqo ki jab mera dil hi dushman mera ho gaya kahan se kahan lai qismat meri kis aafat mein main mubtala ho gaya main yakja hi karta tha apne hawas ki un se mera samna ho gaya 'rawan' tu kahan aur kahan dard-e-ishq tujhe kya ye mard-e-khuda ho gaya