wo khwab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai bichhadne wala sharik-e-safar to ab bhi hai zaban burida sahi main khizan-gazida sahi hara-bhara mera zakhm-e-hunar to ab bhi hai suna tha hum ne ki mausam badal gae hain magar zamin se fasla-e-abr-e-tar to ab bhi hai hamari dar-badari par na jaiye ki hamein shuur-e-saya-e-diwar-o-dar to ab bhi hai hawas ke daur mein mamnun-e-yaad-e-yar hain hum ki yaad-e-yar dilon ki sipar to ab bhi hai kahaniyan hain agar mo'tabar to phir ek shakhs kahaniyon ki tarah mo'tabar to ab bhi hai hazar khinch le suraj hisar-e-abr magar kiran kiran pe giraft-e-nazar to ab bhi hai samundaron se zaminon ko khauf kya ki umid numu-pazir zamin-e-hunar to ab bhi hai magar ye kaun badalti hui ruton se kahe shajar mein saya nahin hai shajar to ab bhi hai