wo kisi taur kisi lamha nazar bhi aate

wo kisi taur kisi lamha nazar bhi aate
zinda hote to kabhi laut ke ghar bhi aate

aasman hum pe agar nazr-e-inayat karta
khair-maqdam ke liye shams-o-qamar bhi aate

jin ke kirdar ki khushbu se mahakti hai faza
aise mehman kabhi to mere ghar bhi aate

main agar hota zamin-zadon ke lashkar mein sharik
mere raste mein samundar bhi bhanwar bhi aate

meri be-laus mohabbat ka taqaza hai yahi
mujh se milne wo kabhi to mere ghar bhi aate

baadshahi se adawat si rahi hai warna
kuchh ilaqe to mere zer-e-asar bhi aate

sabr se tum ne agar kaam liya hota 'riyaz'
gham ke pedon pe masarrat ke samar bhi aate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close