wo mere nale ka shor hi tha shab-e-siyah ki nihayaton mein

wo mere nale ka shor hi tha shab-e-siyah ki nihayaton mein
main ek zarra inayaton par main ek gardish kasafaton mein

giraft aur us ki kar raha hun jo aab hai in basaraton ki
kamand aur us pe phenkta hun jo tah-e-nashin hai samaaton mein

mere liye shahr-e-kaj mein rakkha hi kya hai jo apne gham ganwaun
wo ek daman bahut hai mujh ko sukut-afza faraghaton mein

main ek shab kitni raaten jaga wo mah bite ki sal guzre
pahad sa waqt katta hun shumar karta hun saaton mein

tere falak hi se tutne wali raushni ke hain aks sare
kahin kahin jo chamak rahe hain huruf meri ibaraton mein

wo bojh sar par utha rakha hai ki jism o jaan tak hain chur jin se
pachas barson ki zillaten jo hamein mili thin wirasaton mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close