wo mere qalb-o-ruh ko shadab kar gaya phir is tarah gaya mujhe betab kar gaya kajal bhi nind ka meri aankhon se le uda khwabon mein aa ke wo mujhe be-khwab kar gaya us ne to iztirab ke mani sujha diye aisi nigah ki mujhe betab kar gaya jins-e-giran samajh ke nahin dekhta koi mujh ko wo ek jauhar-e-nayab kar gaya jauf-e-sadaf samajh ke padi abr ki nazar thi sath-e-ab par wo tah-e-ab kar gaya baqi rahe na baam-o-dariche na hi fasil kya haal mere dil ka ye sailab kar gaya sahir tha dewta tha koi but-tarash tha patthar thi ek 'bano' wo simab kar gaya