wo mere shana-ba-shana bhi to ho sakta hai

wo mere shana-ba-shana bhi to ho sakta hai
ye safar mera suhana bhi to ho sakta hai

ye zaruri to nahin qasd-e-safar manzil ho
muddaa khak udana bhi to ho sakta hai

itni shiddat se na kar yaad mere dil us ko
ki abhi us ko bhulana bhi to ho sakta hai

jang mein sab kahan shamshir-zani karte hain
kaam lashon ko uthana bhi to ho sakta hai

is mein kuchh aayaten dozakh ki bhi shamil kar lo
baz logon ko darana bhi to ho sakta hai

dil ko zakhmon se zara aur saja lo 'abbas'
ye use ja ki dikhana bhi to ho sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close