wo mere sine se aaKHir aa laga

wo mere sine se aakhir aa laga
mar na jaun main kahin aisa laga

ret mazi ki meri aankhon mein thi
sabz jangal bhi mujhe sahra laga

kho rahe hain rang tere hont ke
ham-nashin in pe mera bosa laga

lahr ek nikli meri pahchan ki
dubte ke hath mein tinka laga

kar raha tha wo mujhe gumrah kya
har qadam pe rasta mudta laga

kuchh nahin chhodo nahin kuchh bhi nahin
ye nae andaz ka shikwa laga

gend balle par kabhi baithi nahin
har dafa mujh se faqat kona laga

dur jate waqt bas itna kaha
sath 'kanha' aap ka achchha laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close