wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki KHushbu bhai thi

wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki khushbu bhai thi
use lana jaan ganwana tha aur apni jaan parai thi

wo raat ka tul-tawil safar kya kahiye kaise aai sahar
kuchh main ne qissa chheda tha kuchh us ne aas bandhai thi

khwabon se udhar ki masafat mein jo guzri hai kya puchhte ho
ek wahshat chaar-pahar ki thi ek jalti hui tanhai thi

wo raat ki jis ke kinaron par hum milte aur bichhadte the
ek bar mujhe tanha pa kar us ki bhi aankh bhar aai thi

har sham ufuq ki duri par koi sahma sahma phirta tha
taswir jo us ki banai to khud apni shakl banai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close