wo ruThi ruThi ye kah rahi thi qarib aao mujhe manao

wo ruthi ruthi ye kah rahi thi qarib aao mujhe manao
ho mard to aage badh ke mujh ko gale lagao mujhe manao

main kal se naraaz hun qasam se aur ek kone mein ja padi hun
han main ghalat hun dikhao phir bhi tumhi jhukao mujhe manao

tumhaare nakhron se apni an-ban to badhti jaegi sun rahe ho
tum ek sorry se khatm kar sakte ho tanaw mujhe manao

tumhein pata bhi hai kis sakhi se tumhaara pala pada hua hai
muaf kar dungi tum ko fauran hi aao aao mujhe manao

mujhe yun apne se dur kar ke na khush rahoge ghurur kar ke
so mujh se kuchh fasle pe rakkho ye rakh-rakhaw mujhe manao

mujhe batao ki meri naraazgi se tum ko hai farq koi
main kha rahi hun na-jaane kab se hi pech-taw mujhe manao

mujhe pata hai mujhe manane ko tum bhi bechain ho rahe ho
to kya zaruri hai tum bhi itne bharam dikhao mujhe manao

mera irada to pahle hi se hai man jaane ka sach bataun
tum apne bhar bhi tamam harbon ko aazmao mujhe manao

bahut bure ho meri dikhawe ki nind ko bhi tum asl samjhe
kahin se sikho piyar karna mujhe jagao mujhe manao

tum apne andaz mein ki jaise chadha ke rakhte ho aastinen
to main tumhaara radif wali ghazal sunao mujhe manao

khilaf-e-ma'mul mud achchha hai aaj mera main kah rahi hun
ki phir kabhi mujh se karte rahna ye bhaw-taw mujhe manao

main parle darje ka hat-dharam tha ki phir bhi us ko mana na paya
so ab bhi kanon mein gunjta hai mujhe manao mujhe manao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close