wo saghar-e-shabab chhalakta hua hai kya

wo saghar-e-shabab chhalakta hua hai kya
aankhon se ye tarawish-e-rang-e-ada hai kya

tera gunahgar hun tere siwa hai kya
apni taraf to dekh mujhe dekhta hai kya

jab dil hi bujh gaya to kisi se gila hai kya
jab main nahin raha to phir achchha bura hai kya

uzr-e-jafa ke parde mein fikr-e-jafa hai kya
zalim phir imtihan-e-umid-e-wafa hai kya

dar-parda phir ye ranjish-e-taqat gusil hai kyon
be-parda phir ye nazish-e-sabr-azma hai kya

phir ye taghaful-e-sitam-e-be-hijab kyon
phir ye tajahul-e-nigah-e-ashna hai kya

jadu taraazi-e-sukhan-e-dil-nashin hai kyon
nairang-e-wada-ha-e-tasalli faza hai kya

afsun-e-shauq gosh-e-do-alam mein phunkna
phir mangna kahin dil-e-be-muddaa hai kya

khunaba-e-sarishk pe yun khak dalna
phir chhedna ki surkhi-e-rang-e-hina hai kya

pahle kisi ke nakhun-e-tadbir todna
phir puchhna ki uqda-e-band-e-qaba hai kya

mahshar bhi ek safha-e-bazm-e-khayal hai
aamal-nama-e-nigah-e-surma sa hai kya

sailab-e-atishin bina musa hai maujzan
khun-e-bahaar kya rag-e-mauj-e-saba hai kya

dekho harif tana-e-dushman na ho saka
tum jaante ho ye dil-e-be-muddaa hai kya

tabir-e-rang-e-haal pe jita hun hae hae
wo mujh se puchhte hain tumhein ho gaya hai kya

talimأعأghair se bhi taghaful na chhodna
hum yas par jiyenge umid-e-wafa hai kya

aaina hai gawah ki hun mazhar-e-sifat
ai husn-e-be-hijab mera puchhna hai kya

teri taraf hain zahir-o-baatin khinche hue
hasti ko chhod dekh adam mein raha hai kya

shiraaza-e-wajud-o-adam hai teri kamar
jo raaz khul gaya hai wahi chhup gaya hai kya

qurban is bigad ke sadqe banaoge
jo tujh pe mit gaya hai wahi ban gaya hai kya

hai waqt-e-naza naqa-e-umr-e-rawan bhi garm
hai hai shikast-e-rang-e-sada-e-dara hai kya

kyon dosti ke parda se aati hai bu-e-ghair
khalwat-gah-e-visal mein josh-e-haya hai kya

majbur ho ke ghair ko apna bana liya
zalim ki dushmani bhi mohabbat-faza hai kya

toda hai tum ne ahd-e-mohabbat hazar bar
aakhir shikast-e-shisha-e-dil ki sada hai kya

ahbab qadr-dan hain sukhan-fahm ai 'wafa'
phir tu bata ki teri ghazal ka sila hai kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close