wo saliqa hamein jine ka sikha de saqi

wo saliqa hamein jine ka sikha de saqi
jo gham-e-dahr se begana bana de saqi

jam-o-mina meri nazron se hata de saqi
ye jo aankhon mein chhalakti hai pila de saqi

shoala-e-ishq se chhalka de mere shishe ko
aur betab ko betab bana de saqi

haram-o-dair mein bat jate hain rindan-e-wafa
haram-o-dair ki tafriq mita de saqi

sun raha hun ki mayassar hi nahin duniya mein
ek nigah raaz-e-do-alam jo bata de saqi

khushk hai mausam-e-ehsas faza pyasi hai
khum ke khum sina-e-geti pe lundha de saqi

phir kabhi hosh na aae to koi baat nahin
aaj hum jitni piyen utni pila de saqi

josh-e-masti mein baghal-gir hun bichhde hue dil
aaj insan ko insan bana de saqi

zindagi khwab-e-musalsal ke siwa kuchh na sahi
us ki tabir to 'darshan' ko bata de saqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close