wo shaKHs phir kahani ka unwan ban gaya

wo shakhs phir kahani ka unwan ban gaya
main dard likh rahi thi wo diwan ban gaya

gardish mein chaaron samt rahe us ke lafz lafz
kuchh yun hua ke aaj wo mehman ban gaya

khush thi main us ko bakhsh ke kirdar phir naya
wo meri dil-lagi ka bhi saman ban gaya

mahfil uruj par thi ki nazren ulajh padin
sab jaan-bujh ke bhi wo anjaan ban gaya

jab us ka ishq khun ki dhaaron mein hal hua
mere liye to lulu-o-marjaan ban gaya

itne taghayyuraat ke allah ki panah
har karb mere ishq ka tawan ban gaya

lazzat to aankh ne bhi uthai thi sari raat
ek khwab meri ruh ka sohan ban gaya

kuchh aur ramz mujh pe kiye jaen aashkar
us ki taraf se ye naya farman ban gaya

'asra' qadam sambhaal ke rakhna zamin par
shaitan kah raha hai ki rahman ban gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close