wo sitam-gar hai KHayalat samajhne wala

wo sitam-gar hai khayalat samajhne wala
mujh se pahle mere jazbaat samajhne wala

main ne rakkha hai hamesha hi tabassum lab par
ro diya kyun mere haalat samajhne wala

jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha
ruk gaya tere maqamat samajhne wala

jo na samjhe wo banate rahe lakhon baaten
hua khamosh teri baat samajhne wala

raaz-e-taqdir pe kya raushni dalega koi
khud sawali hai sawalat samajhne wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close