wo thi zulfen thin aur shana tha kitna uljha hua fasana tha un ka uthna hamein uthana tha dard-e-sar yunhi ek bahana tha panw mein aable na pad jate do qadam par gharib-khana tha kaif-e-ahd-e-shabab kya kahna har qadam par sharab-khana tha kho gai thi nigah jalwon mein sara aalam nigar-khana tha tum ne us ko bhi sun liya hota 'ashk' ka haal bhi fasana tha