wo uTThe hain tewar badalte hue

wo utthe hain tewar badalte hue
chalo dekhen talwar chalte hue

na dekha tere daur mein ai falak
nihaal-e-tamanna ko phalte hue

hain angusht-hairat-ba-dandan masih
wo murde jilate hain chalte hue

chalo mai-kada mahfil-e-waz se
ye ammame dekho uchhalte hue

zaban par tera nam jab aa gaya
to girte ko dekha sambhalte hue

mohabbat mein pae har ek rah se
hazaron hi raste nikalte hue

hain kya un ki zulfen ye ai dil na puchh
chhalawe ko dekha hai chhalte hue

bane juzw-e-tan jab chubhe khar-e-gham
ye kante na dekhe nikalte hue

kiya kuchh na jab tak raha ikhtiyar
jahan se chale hath malte hue

gham-e-ishq paida hua mere sath
use guzri ek umr palte hue

ruke kis tarah tegh-e-abru ka war
suna hai ajal ko bhi talte hue

in aaankhon ke fitnon ka kya puchhna
ye jadu hain lakhon mein chalte hue

nahin shama-e-ariz pe khat jama hain
hazaron hi parwane jalte hue

fasane hain mashhur ushshaq ke
kati umr furqat mein jalte hue

jawan marte dekhe bahut na-murad
suna hoga arman nikalte hue

nahin khel chalna rah-e-ishq mein
zara panw rakhna sambhalte hue

jo mashhur sabit qadam the 'habib'
unhen hum ne dekha phisalte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close