wo zar hun ki sar pe gulistan uTha liya

wo zar hun ki sar pe gulistan utha liya
wo khar hun ki pahlu-e-gul ko daba liya

kya mujh se chaal chalte wo main bhi hun chaaliya
katra ke chal diye the ki banda ne ja liya

kya baat bosa-e-lab-e-jaan-bakhsh yar ke
panje se maut ke mujhe us ne bacha liya

main jaise nale karta hun un ke khayal mein
gay to is tarah se gawayya khayaliya

un ki gali ke kutte se tu munh ki khaega
haddi ka mere nam jo tu ne huma liya

taswir khinchta hun sarapa-e-yar ki
hain aalam-e-misal ki sher-e-misaliya

uthwa diya raqib ko wan baith baith ke
aise jame ki hum ne bhi naqsha jama liya

daghon ki bas dikha di diwali mein raushni
hum sa na hoga koi jahan mein diwaliya

kahne lage murid ki pahunche hue hain aap
musa bana wo hath mein jis ne asa liya

aise na jeb-katre kahin hain na gath-kate
pahlu mein baithte hi dil us ne uda liya

aaya shabab rup pe husn-o-jamal hai
is bagh mein bahaar ne rang ab jama liya

waiz hisab denge wahan tujh se dana-zad
rawaq ka hai shukr jo khilwaya kha liya

yaad aa gai jo hum ko wo gardan surahi-dar
shishe ko mai-kade mein gale se laga liya

lillah bu-e-gul se na kar mujh ko bad-dimagh
khushbu uda ke un ke badan ki saba liya

aate hain wo kahin se to ai 'mehr' qarz dam
chikni dali ilaichi manga pan chhaaliya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close