wusat-e-bahr-e-ishq kya kahiye

wusat-e-bahr-e-ishq kya kahiye
ibtida ho to intiha kahiye

tere jaur-o-jafa ko kya kahiye
naz kahiye unhen ada kahiye

us sitamgar ko or kya kahiye
sare jhuton ka peshwa kahiye

puchhna chahiye tabibon se
dard-e-dil ki hai ye dawa kahiye

hum bhi munh mein zaban rakhte hain
kuchh samajh kar bura bhala kahiye

ghairon ke samne bula ke mujhe
kahte hain dil ka muddaa kahiye

na koi yar hai na hai gham-khwar
kis se ab dil ka majra kahiye

pite hain jo sharab masjid mein
aise logon ko parsa kahiye

sharm kya hai mujhe jo kahna ho
samne sab ke barmala kahiye

wo jafa-gar falak sitamgar hai
kise achchha kise bura kahiye

ghair sath aap ke maze luten
hum uthaen jafaen kya kahiye

bhul kar le gaya su-e-manzil
aise rahzan ko rahnuma kahiye

chaar agar yar hain to das dushman
raaz dil ka na ja-ba-ja kahiye

jaan se gar gaya koi aashiq
ishq ki is ko ibtida kahiye

kya yahi shart hai mohabbat ki
be-wafaon ko ba-wafa kahiye

shaikh pite hain jo mai-e-ulfat
us ko kis tarah narawa kahiye

dil ka sine ka aur jigar ka haal
hai ye wajib juda juda kahiye

haal sunte nahin mera na suno
apne dil ka to majra kahiye

'mashriqi' chhodiye buton ka zikr
subh uth kar khuda khuda kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close