ya-rab ye kaisa aaj ka insan ho gaya

ya-rab ye kaisa aaj ka insan ho gaya
takhliq kar ke tu bhi pasheman ho gaya

mausam bahaar ka tha khizan jald aa gai
hansta hua chaman mera viran ho gaya

luta hai jis ne shahr ke sabr-o-qarar ko
wo shakhs mere shahr ka pardhan ho gaya

aise nae chalan ki chalin aandhiyan yahan
insan apni zat mein haiwan ho gaya

chaha tha main ne dil se kabhi tujh ko tut kar
wo hadisa hayat ka unwan ho gaya

thin zindagi ki rah mein dushwariyan bahut
marna kisi ke ishq mein aasan ho gaya

itna hasin hai mere 'gulshan' ka bankpan
har gul meri nigah mein zishan ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close