yaad aa ke teri hijr mein samjhaegi kis ko

yaad aa ke teri hijr mein samjhaegi kis ko
dil hi nahin sine mein to bahlaegi kis ko

dam khinchta hai kyun aaj ye rag rag se hamara
kya jaane idhar dil ki kashish laegi kis ko

uthne hi nahin deti hai jab yas bitha kar
phir shauq ki himmat kahin le jaegi kis ko

jab mar hi dala hamein be-tabi-e-dil ne
karwat shab-e-furqat mein badalwaegi kis ko

mar jaenge be-maut gham-e-hijr ke mare
aaegi to ab zinda ajal paegi kis ko

achchha rahe taswir kisi ki mere dil par
kam-bakht na thahrega to thahraegi kis ko

kuchh baith gaya dil hi yahan baith ke apna
ghairat teri mahfil se ab uthwaegi kis ko

is wada-khilafi ne agar jaan hi le li
phir jhuti tasalli teri tadpaegi kis ko

kyun lenge 'jalal' aa ke mere dil mein wo chutki
jhapkegi palak kahe ko nind aaegi kis ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close