yaad ke darichon mein barishon ke manzar hain kis nagar ki baaten hain kin ruton ke manzar hain ajnabi dayaron mein shauq-e-did le jao kuchh nahin to har jaanib dilbaron ke manzar hain umr ho gai lekin ab bhi hain taaqub mein us gali se aage bhi titliyon ke manzar hain dil ki nam zaminon par chal rahe hain hum kab se dur zard pedon par aandhiyon ke manzar hain main hun aur samundar hai pesh-e-said-e-simin dar-pas-e-rukh-e-zarrin parbaton ke manzar hain husn-e-kam-qaba dariya aur hua barahna-pa naqsh aaj bhi dil par jangalon ke manzar hain kya har ek jaanib se chal ke khud tak aaya hun mere chaar-su 'jamshed' raston ke manzar hain