yahan dekhun wahan dekhun jahan dekhun main kya dekhun

yahan dekhun wahan dekhun jahan dekhun main kya dekhun
kabhi khud mein tujhe dekhun kabhi tujh mein khuda dekhun

gharaz khud se nahin koi na chahat hai zamane ki
kahan hasti meri phir jo tujhe khud se juda dekhun

mohabbat ki nazar mein yar likkhi ho mohabbat bas
kabhi dekhun main khud ko to kabhi us ki wafa dekhun

nai manzil nai surat naya manzar meri fitrat
badalta hun main roz-o-shab thikana bhi naya dekhun

wo ulfat ki nigahen hon wo chehron pe tabassum ho
muqaddas se darun dil pe likha name wafa dekhun

nafasat aah bharti hai zalalat khilkhilati hai
ye be-adabi ki duniya mein kabhi khud ko tana dekhun

ye ek duniya dikhe bahar wo ek duniya mere bhitar
bata mujh ko mere malik kahan apna pata dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close