yahan hai dhup wahan sae hain chale jao

yahan hai dhup wahan sae hain chale jao
ye log lene tumhein aae hain chale jao

bulawa aaya hai jaane mein koi harj nahin
yahan bhi dukh hi sada pae hain chale jao

wo jis ke waste bulwaya ja raha hai tumhein
agar ye log use lae hain chale jao

pade rahoge yahan kab talak bure haalon
wahan to husn ke sarmae hain chale jao

main kya bataun wahan kya hai jo nahin hai yahan
nashat-e-ruh ke pairae hain chale jao

main rok paunga aansu na rukhsati pe magar
kahaar doli jo le aae hain chale jao

tumhein to qabr ki mitti bhi ab pukarti hai
yahan ke log bhi uktae hain chale jao

gurez itna bhi sabir-'zafar' nahin achchha
payam us ne jo bhijwae hain chale jao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close