yahan par mera kuchh bhi tha hi nahin

yahan par mera kuchh bhi tha hi nahin
so ghata zara bhi hua hi nahin

ragon tak mein khushbu teri jazb ki
hawa pe bharosa kiya hi nahin

mere dil ki haalat jo thi wo rahi
ye pauda shajar to hua hi nahin

wo kya majra tha khula hi nahin
nishane pe patthar laga hi nahin

kahani diye ki bahut khub hai
magar is mein zikr-e-hawa hi nahin

jawabon ke chehron pe hain uljhanen
sawalon ka ab tak pata hi nahin

safar ka main aaghaz kaise karun
mere haq mein koi dua hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close