yahan se dub kar jaana hai mujh ko samundar mein utar jaana hai mujh ko abhi to ku-ba-ku hai khak meri abhi to dar-ba-dar jaana hai mujh ko kabhi jate hue lambe safar par achanak hi thahar jaana hai mujh ko ye hasrat hai kahun main doston se hui ab sham ghar jaana hai mujh ko tujhe apna sabhi kuchh saunpna hai tere daman mein bhar jaana hai mujh ko