yakh-basta thandakon mein ujala jada hua kohre ke sath rah pe kuda pada hua ab bhi buland-tar hain sipah-e-khuda ke sar parcham hai ab bhi chob-e-alam par chadha hua namrud ki chita kahin pata hai karbala har jug mein imtihan hamara kada hua be-abru hai fan abhi aawaz be-badan sar par abhi hai hijr ka baadal khada hua chahat ki intiha kabhi teri meri wafa ijra ka majra kabhi kachcha ghada hua kuchh khwab kuchh gulab the chehre ke aas-pas dekha tujhe to hausla dil ko bada hua jug jiwanon se ruh teri ruh mein nihan jug jiwanon se dil tere dil se uda hua dilbar ke darshna se darakti hui nazar akhiyon sadi salkhiyon ko nashsha lada hua chipki thi pankhudi koi us lab se ek shab aamon ka baur tha sar-e-gesu jhada hua