yaqin kaun karega guman pe aaya hun

yaqin kaun karega guman pe aaya hun
main apne aap se chhup kar yahan pe aaya hun

mujhe bhi aql pareshan karti rahti hai
nahin nahin se guzar kar main han pe aaya hun

mujhe wo dekh ke hairan kyun nahin hoga
zamin odh ke main aasman pe aaya hun

ye baat tu hi bata kis tarah bataun tujhe
main dil ke raste teri zaban pe aaya hun

na jaane kab se nahin mil saka hun main khud se
main khud se milne tere aastan pe aaya hun

ye iztirab haqiqat mein iztirab nahin
khushi khushi main is aah-o-fughan pe aaya hun

mujhe talash na kar tu yahan wahan 'momin'
nazar utha ki tere khwab-dan pe aaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close