yaqin TuT chuka hai guman baqi hai

yaqin tut chuka hai guman baqi hai
hamare sar pe abhi aasman baqi hai

chale to aae hain hum khwab se haqiqat tak
safar tawil tha ab tak takan baqi hai

unhen ye zoam ki fariyaad ka chalan na raha
hamein yaqin ki munh mein zaban baqi hai

har ek samt se pathraw hai magar ab tak
lahuluhan parinde mein jaan baqi hai

fasana shahr ki tamir ka sunane ko
gali ke mod pe tuta makan baqi hai

mila na jo hamein qatil ki aastin pe 'hasan'
usi lahu ka zamin pe nishan baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close