yar jab nainon mein aaya hu-ba-hu jyun suna tyun us mein paya hu-ba-hu qal kan hota muqabil haal ke nur ka sab amr chhaya hu-ba-hu mutrib-e-zati apas ke ishq sun tar sirri ka bajaya hu-ba-hu husn jo rakhta tha apni zat mein sat sifatan mein dikhaya hu-ba-hu jo atha makhfi o baatin mein tamam wo nikal apne sun paya hu-ba-hu jun shajar mein tukhm-e-hasil hai kamal tyun 'alimullah' bataya hu-ba-hu