ro paDa na-gahan muskurane ke baad

ro pada na-gahan muskurane ke baad
yaad aai bahut us ki jaane ke baad

meri aankhen khuli ki khuli rah gain
wo nazar aaya jab ek zamane ke baad

ruh parwar tha is ka ye tarz-e-amal
ruth jaana dobara manane ke baad

dil ko dil se milati hai ye dil-lagi
us ka hona pasheman satane ke baad

talkh-o-shirin hai rudad-e-dil-bastagi
munkashif ye hua aazmane ke baad

shakhsiyat ka meri ban gaya ek juz
mere qalb-o-jigar mein samane ke baad

hai ye 'barqi' hasinon ki fitrat ka juz
wada kar ke na aana bulane ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close