ye ajab rasta hai jis pe lagaya hai mujhe

ye ajab rasta hai jis pe lagaya hai mujhe
mahw-e-hairat hun ki kya chiz banaya hai mujhe

teri duri bhi hai mushkil teri qurbat bhi muhaal
kis qadar tu ne meri jaan sataya hai mujhe

tu kisi phul kisi aankh ke parde mein raha
tu ne kab apna hasin chehra dikhaya hai mujhe

mere firdaus ki nahren meri khatir hain to kyun
pyas ke dasht mein hairan phiraya hai mujhe

sari makhluq se taqwim mein ahsan hun main
aur phir aag ka indhan bhi banaya hai mujhe

apni takhrib pe nadim hun na tamir pe khush
tu ne dhaya hai mujhe tu ne banaya hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close