ye andhera jo ayan subh ki tanwir mein hai

ye andhera jo ayan subh ki tanwir mein hai
kuchh kami khun-e-jigar ki abhi taswir mein hai

ahl-e-taqdir ne sar rakh diya jis ke aage
aaj wo uqda mere nakhun-e-tadbir mein hai

rang-e-gul rang-e-butan rang-e-jabin-e-mehnat
jo hasin rang hai shamil meri taswir mein hai

main ne jis khwab ko aankhon mein basa rakkha hai
tu bhi zalim mere us khwab ki tabir mein hai

le udi mauj-e-bahaaran ye alag hai warna
aaj bhi panw mera khana-e-zanjir mein hai

wo mere puchhne ko aae hain sach-much 'akhtar'
ya koi khwab-e-hasin manzil-e-tabir mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close