ye aur baat hai ki madawa-e-gham na tha

ye aur baat hai ki madawa-e-gham na tha
lekin tera khulus tawaqqo se kam na tha

kya kya faraghaten thin mayassar hayat ko
wo din bhi the ki tere siwa koi gham na tha

kuchh hum girift-e-gardish-e-dauran mein aa gae
kuchh dil bhi tere ishq mein sabit-qadam na tha

aae hain yaad tujh se bichhad kar wo log bhi
jin se talluqat bigadne ka gham na tha

wo daur-e-ishq mahz bhi kiya waqt tha 'azim'
jab dil pe naqsh mohr-o-nishan-e-sitam na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close