ye bhul ja ki hain tere bhi gham-gusar bahut banana kaghzi phulon ke khushk haar bahut jo chashm-e-yar hai hosh-o-khirad shikar bahut dil-o-nazar pe hamein bhi hai ikhtiyar bahut hum apne waqt ki taswir-e-maskh-surat hain dikhae hum ko na aaina rozgar bahut khuda wo waqt na lae ki aazmaish ho talluqat tumhin se hain ustuwar bahut kisi bhi shakh pe jab mera aashiyan na mila chaman mein aaj phiri barq be-qarar bahut dil-e-tabah ki nairangiyon ka haal na puchh gahe qarar bahut gah be-qarar bahut hayat nazish-e-kaunain ho to kya gham hai wo chaar din ki sahi umr-e-mustaar bahut hamein to apni wafaon ka mil raha hai sila jafa-o-jaur pe wo kyun hain sharmsar bahut bahut dinon se ab apni talash mein gum hain 'rais' chhan chuke khak-e-ku-e-yar bahut