ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta magar thahrun kahan koi shajar achchha nahin lagta yahi ek baat ab main sochta rahta hun khalwat mein na jaane kyun mujhe ab tera dar achchha nahin lagta karam karte nahin kyun tum mere qalb-e-shikasta par mera yun gham-zada rahna agar achchha nahin lagta nigahon se jo ojhal us gul-e-rana ka jalwa hai ye rang-e-sham ye rang-e-sahar achchha nahin lagta udhar wo bhi bichhad ke hum se khoe khoe rahte hain akela mujh ko bhi rahna idhar achchha nahin lagta uthi hai jab se ye diwar-e-nafrat dal ke aangan mein mujhe ai dosto khud apna ghar achchha nahin lagta