ye gard-baad-e-tamana mein ghumte hue din

ye gard-baad-e-tamana mein ghumte hue din
kahan pe ja ke rukenge ye bhagte hue din

ghurub hote gae raat ke andheron mein
nawed-e-amn ke suraj ko dhundte hue din

na jaane kaun khala ke ye istiare hain
tumhaare hijr ki galiyon mein gunjte hue din

na aap chalte na dete hain rasta hum ko
thaki thaki si ye shamen ye unghte hue din

phir aaj kaise kategi pahad jaisi raat
guzar gaya hai yahi baat sochte hue din

tamam umr mere sath sath chalte rahe
tumhin ko dhundte tum ko pukarte hue din

har ek raat jo tamir phir se hoti hai
katega phir wahi diwar chatte hue din

mere qarib se guzre hain bar-ha 'amjad'
kisi ke wasl ke wade ko dekhte hue din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close